READING MODE
20


|| Doha ||

Janak Janani Padmaraj, Nij Mastak Par Dhari.

Bandaun Maatu Saraswati, Buddhi Bal De Daataari.

Poorn Jagat Mein Vyaapt Tav, Mahimaa Amit Anantu.

Dushjanon Ke Paap Ko, Maatu Tu Hi Ab Hantu.

|| Chaupai ||

Jai Shri Sakal Buddhi Balraasi. Jai Sarvagya Amar Avinaashi.

Jai Jai Jai Veenakar Dhaari. Karti Sadaa Suhans Savaari. ||1||

Roop Chaturbhuj Dhaari Maataa. Sakal Vishwa Andar Vikhyaataa.

Jag Mein Paap Buddhi Jab Hoti. Tab Hi Dharm Ki Phiki Jyoti. ||2||

Tab Hi Maatu Ka Nij Avtaari. Paap Heen Karti Mahtaari.

Vaalmiikiji The Hatyaaraa. Tav Prasaad Jaanai Sansaaraa. ||3||

Ramcharit Jo Rache Banaai. Aadi Kavi Ki Padvi Paai.

Kaalidaas Jo Bhaye Vikhyaataa. Teri Kripa Drishti Se Maataa. ||4||

Tulsi Soor Aadi Vidvaanaa. Bhaye Aur Jo Gyaani Naanaa.

Tinh Na Aur Raheu Avalambaa. Kev Kripa Aapki Ambaa. ||5||

Karahu Kripa Soi Maatu Bhavaani. Dukhit Deen Nij Daasahi Jaani.

Putra Karahin Aparaadh Bahuutaa. Tehi Na Dharai Chit Maataa. ||6||

Raakhu Laaj Janani Ab Meri. Vinay Karaun Bhaanti Bahu Teri.

Main Anaath Teri Avalambaa. Kripa Karau Jai Jai Jagadambaa. ||7||

Madhukaitabh Jo Ati Balavaanaa. Baahuyuddh Vishnu Se Thaanaa.

Samar Hazaar Paanch Mein Ghoraa. Phir Bhi Mukh Unse Nahin Moraa. ||8||

Maatu Sahaay Keenh Tehi Kaalaa. Buddhi Vipareet Bhai Khalahaalaa.

Tehi Te Mrityu Bhai Khal Keri. Puravahu Maatu Manorath Meri. ||9||

Chand Mund Jo The Vikhyaataa. Kshan Mahu Sanhaare Un Maataa.

Rakt Beej Se Samarth Paapi. Surmuni Haday Dharaa Sab Kaanpi. ||10||

Kaateu Sir Jimi Kadali Khambaa. Barabaar Bin Vaun Jagadambaa.

Jagprasiddh Jo Shumbhanishumbhaa. Kshan Mein Baandhe Taahi Tu Ambaa. ||11||

Bharatmaatu Buddhi Phereau Jaai. Ramchandra Banvaas Karaai.

Ehi Vidhi Ravan Vadh Tu Keenhaa. Sur Narmuni Sabko Sukh Deenhaa. ||12||

Ko Samarth Tav Yash Gun Gaanaa. Nigam Anaadi Anant Bakhaanaa.

Vishnu Rudra Jas Kahin Maari. Jinki Ho Tum Rakshakaari. ||13||

Rakt Dantikaa Aur Shataakshi. Naam Apaar Hai Daanav Bhakshi.

Durgam Kaaj Dharaa Par Keenhaa. Durga Naam Sakal Jag Leenhaa. ||14||

Durg Aadi Harni Tu Maataa. Kripa Karahu Jab Jab Sukhdaataa.

Nrip Kopit Ko Maaran Chaahe. Kaanan Mein Ghere Mrig Naahe. ||15||

Saagar Madhy Pot Ke Bhanje. Ati Toofaan Nahin Kou Sange.

Bhoot Pret Baadhaa Yaa Dukh Mein. Ho Daridra Athvaa Sankat Mein. ||16||

Naam Jape Mangal Sab Hoi. Sanshay Ismen Karai Na Koi.

Putraheen Jo Aatur Bhaai. Sabai Chhaandi Poojen Ehi Bhaai. ||17||

Karai Paath Nit Yah Chaalisaa. Hoy Putra Sundar Gun Eeshaa.

Dhoopaadik Naivedy Chadhaavai. Sankat Rahit Avashya Ho Jaavai. ||18||

Bhakti Maatu Ki Karain Hameshaa. Nikat Na Aavai Taahi Kaleshaa.

Bandi Paath Karen Sat Baaraa. Bandi Paash Door Ho Saaraa. ||19||

Raamsaagar Baandhi Hetu Bhavaani. Keejai Kripa Daas Nij Jaani. ||20||

|| Doha ||

Maatu Surya Kaanti Tav, Andhakaar Mam Roop.

Dooban Se Raksha Karahu Parun Na Main Bhav Koop.

Balbuddhi Vidyaa Dehu Mohi, Sunahu Saraswati Maatu.

Raam Saagar Adham Ko Aashray Tu Hi Dedaatu.