Namo Namo Durge Sukh Karni. Namo Namo Durge Dukh Harni.
Nirankaar Hai Jyoti Tumhaari. Tihun Lok Faili Ujiyaari.
Shashi Lalaat Mukh Mahavishala. Netra Laal Bhrikuti Vikarala.
Roop Maatu Ko Adhik Suhaave. Darash Karat Jan Ati Sukh Paave.
Tum Sansaar Shakti Lai Keena. Paalan Hetu Ann Dhan Deena.
Annapurna Hui Jag Paala. Tum Hi Aadi Sundari Baala.
Pralaykaal Sab Naashan Haari. Tum Gauri Shivshankar Pyaari.
Shiv Yogi Tumhare Gun Gaaven. Brahma Vishnu Tumhein Nit Dhyaaven.
Roop Saraswati Ko Tum Dhaara. De Subuddhi Rishi Munin Ubaara.
Dharyo Roop Narsingh Ko Amba. Pargat Bhai Phaadkar Khamba.
Raksha Kari Prahlaad Bachaayo. Hiranyaaksh Ko Swarg Pathaayo.
Lakshmi Roop Dharo Jag Maahin. Shri Narayan Ang Samaahin.
Ksheersindhu Mein Karat Vilaasa. Daya Sindhu Deeje Man Aasa.
Hinglaaj Mein Tumhi Bhavani. Mahima Amit Na Jaat Bakhaani.
Maatangi Aru Dhumaavati Maata. Bhuvneshwari Bagla Sukh Daata.
Shri Bhairav Taara Jag Taarini. Chhinn Bhaal Bhav Dukh Nivaarini.
Kehari Vaahan Soh Bhavani. Laangur Veer Chalat Agvaani.
Kar Mein Khappar Khadg Viraajai. Jaako Dekh Kaal Dar Bhaajai.
Sohai Astra Aur Trishoola. Jaate Uthat Shatru Hiy Shoola.
Nagarkot Mein Tumhi Viraajat. Tihun Lok Mein Danka Baajat.
Shumbh Nishumbh Daanav Tum Maare. Raktbeej Shankhan Sanhaare.
Mahishaasur Nrup Ati Abhimaani. Jehi Agh Bhaar Mahi Akulaani.
Roop Karaal Kalika Dhaara. Sen Sahit Tum Tihi Sanhaara.
Pari Gaarh Santan Par Jab Jab. Bhai Sahaay Maatu Tum Tab Tab.
Amarpuri Aru Baasav Loka. Tab Mahima Sab Rahein Ashoka.
Jwala Mein Hai Jyoti Tumhaari. Tumhein Sadaa Poojein Nar Naari.
Prem Bhakti Se Jo Yash Gaaven. Dukh Daaridra Nikat Nahin Aaven.
Dhyaave Tumhein Jo Nar Man Laai. Janmamaran Taakau Chhuti Jaai.
Jogi Sur Muni Kahat Pukaari. Yog Na Ho Bin Shakti Tumhaari.
Shankar Aacharaj Tap Keeno. Kaam Aru Krodh Jeeti Sab Leeno.
Nishidin Dhyaan Dharo Shankar Ko. Kaahu Kaal Nahin Sumiro Tumko.
Shakti Roop Ka Maram Na Paayo. Shakti Gayi Tab Man Pachhitaayo.
Sharnaagat Hui Keerti Bakhaani. Jai Jai Jai Jagdamb Bhavani.
Bhai Prasann Aadi Jagdamba. Dai Shakti Nahin Keen Vilamba.
Moko Maatu Kasht Ati Ghero. Tum Bin Kaun Harai Dukh Mero.
Aasha Trishna Nipat Sataaven. Moh Madaadik Sab Binshaaven.
Shatru Naash Keejai Maharani. Sumirau Ikchit Tumhein Bhavani.
Karo Kripa He Maatu Dayaala. Riddhi Siddhi Dai Karahu Nihaala.
Jab Lagi Jiun Daya Phal Paaun. Tumhro Yash Main Sadaa Sunaaun.
Shri Durga Chalisa Jo Koi Gaavai. Sab Sukh Bhog Param Pad Paavai.
Devidaas Sharan Nij Jaani. Kahu Kripa Jagdamb Bhavani.
Sharnaagat Raksha Kare, Bhakt Rahe Nih-shank.
Main Aaya Teri Sharan Mein, Maatu Lijiye Ank.