Shri Ganpati Pad Naay Sir, Dhari Hiy Shaaradaa Dhyaan.
Santoshi Maan Ki Karun, Keerati Sakal Bakhaan.
Jai Santoshi Maan Jag Janani. Khal Mati Dusht Daitya Dal Hanani.
Ganpati Dev Tumhaare Taataa. Riddhi Siddhi Kahlaavahaan Maataa. ||1||
Maataa-Pitaa Ki Rahau Dulaari. Keerati Kehi Vidhi Kahun Tumhaari.
Kreet Mukut Sir Anupam Bhaari. Kaanan Kundal Ko Chhavi Nyaari. ||2||
Sohat Ang Chhataa Chhavi Pyaari. Sundar Cheer Sunahri Dhaari.
Aap Chaturbhuj Sughard Vishaalaa. Dhaaran Karahu Gale Van Maalaa. ||3||
Nikat Hai Gau Amit Dulaari. Karahu Mayoor Aap Asavaari.
Jaanat Sabahi Aap Prabhutaai. Sur Nar Muni Sab Karahin Badaai. ||4||
Tumhare Darash Karat Kshan Maai. Dukh Daridra Sab Jaay Nasaai.
Ved Puraan Rahe Yash Gaai. Karahu Bhakt Ki Aap Sahaai. ||5||
Brahma Dhing Saraswati Kahaai. Lakshmi Roop Vishnu Dhing Aai.
Shiv Dhing Girja Roop Biraaaji. Mahimaa Teenon Lok Mein Gaaji. ||6||
Shakti Roop Pragati Jan Jaani. Rudra Roop Bhai Maat Bhavaani.
Dushtdalan Hit Pragati Kaali. Jagmag Jyoti Prachand Niraali. ||7||
Chand Mund Mahishaasur Maare. Shumbh Nishumbh Asur Hani Daare.
Mahimaa Ved Puraan Barani. Nij Bhaktan Ke Sankat Harani. ||8||
Roop Shaaradaa Hans Mohini. Niraankaar Saakaar Daahini.
Pragataaai Chahundish Nij Maayaa. Kan Kan Mein Hai Tej Samaayaa. ||9||
Prithvi Surya Chandra Aru Taare. Tav Ingit Kram Baddh Hain Saare.
Paalan Poshan Tumhin Kartaa. Kshan Bhangur Mein Praan Hartaa. ||10||
Brahma Vishnu Tumhen Nit Dhyaavain. Shesh Mahesh Sadaa Man Laave.
Manokamana Pooran Karani. Paap Kaatani Bhav Bhay Tarani. ||11||
Chitt Lagaay Tumhen Jo Dhyaataa. So Nar Sukh Sampatti Hai Paataa.
Bandhyaa Naari Tumhin Jo Dhyaavain. Putra Pushp Lataa Sam Vah Paavain. ||12||
Pati Viyogi Ati Vyaakul Naari. Tum Viyog Ati Vyaakul Yaari.
Kanyaa Jo Koi Tumko Dhyaavai. Apanaa Man Vaanchhit Var Paavai. ||13||
Sheelvaan Gunavaan Ho Maiyaa. Apane Jan Ki Naav Khivaiyyaa.
Vidhi Poorvak Vrat Jo Koi Karahin. Taahi Amit Sukh Sampatti Bharahin. ||14||
Gud Aur Chanaa Bhog Tohi Bhaavai. Sevaa Karai So Aanand Paavai.
Shraddhaa Yukt Dhyaan Jo Dharahin. So Nar Nishchay Bhav Son Tarahin. ||15||
Udyaapan Jo Karahi Tumhaaraa. Taako Sahaj Karahu Nistaaraa.
Naari SuhaΠ°gin Vrat Jo Karti. Sukh Sampatti Son Godi Bharti. ||16||
Jo Sumrat Jaisi Man Bhaavaa. So Nar Vaiso Hi Phal Paavaa.
Saat Shukra Jo Vrat Man Dhaare. Taake Pooran Manorath Saare. ||17||
Sevaa Karahi Bhakti Yut Joi. Taako Door Daridra Dukh Hoi.
Jo Jan Sharan Maataa Teri Aavai. Taake Kshan Mein Kaaj Banaavai. ||18||
Jai Jai Jai Ambe Kalyaani. Kripa Karao Mori Mahaaraani.
Jo Koi Padhai Maat Chaalisaa. Taape Karahin Kripa Jagdeeshaa. ||19||
Nit Prati Paath Karai Ik Baaraa. So Nar Rahai Tumhaaraa Pyaaraa.
Naam Let Byaadhaa Sab Bhaage. Rog Dosh Kabahoon Nahin Laage. ||20||
Santoshi Maan Ke Sadaa, Bandahun Pag Nish Vaas.
Pooran Manorath Hon Sakal, Maat Harao Bhav Traas.