Jai Kaali Kalimalaharan, Mahimaa Agam Apaar.
Mahish Mardini Kaalikaa, Dehu Abhay Apaar.
Ari Mad Maan Mitaavan Haari. Mundmaal Gal Sohat Pyaari.
Ashtbhuji Sukhdaayak Maataa. Dushtdalan Jag Mein Vikhyaataa. ||1||
Bhaal Vishaal Mukut Chhavi Chhaаjai. Kar Mein Sheesh Shatru Ka Saajai.
Dooje Haath Liye Madhu Pyaalaa. Haath Teesre Sohat Bhaalaa. ||2||
Chauthe Khappar Khadg Kar Paanche. Chhathe Trishool Shatru Bal Jaanche.
Saptam Kardamkat Asi Pyaari. Shobhaa Adbhut Maat Tumhaari. ||3||
Ashtam Kar Bhaktan Var Daataa. Jag Mangharan Roop Ye Maataa.
Bhaktan Mein Anurakta Bhavaani. Nishdin Ratein Rishi-Muni Gyaani. ||4||
Mahashakti Ati Prabal Punitaa. Tu Hi Kaali Tu Hi Seetaa.
Patit Taarini He Jag Paalak. Kalyaani Paapi Kul Ghaalak. ||5||
Shesh Suresh Na Paavat Paaraa. Gauri Roop Dharyo Ik Baaraa.
Tum Samaan Daataa Nahin Doojaa. Vidhivat Karen Bhaktajan Poojaa. ||6||
Roop Bhayankar Jab Tum Dhaaraa. Dushtdalan Keenhehu Sanhaарaa.
Naam Anekan Maat Tumhaare. Bhaktajanon Ke Sankat Taare. ||7||
Kali Ke Kasht Kaleshan Harani. Bhav Bhay Mochan Mangal Karani.
Mahimaa Agam Ved Yash Gaavain. Naarad Shaarad Paar Na Paavain. ||8||
Bhoo Par Bhaar Badhyo Jab Bhaari. Tab Tab Tum Pragatin Mahtaari.
Aadi Anaadi Abhay Vardaataa. Vishvavidit Bhav Sankat Traataa. ||9||
Kusamay Naam Tumhaaro Leenhaa. Usko Sadaa Abhay Var Deenhaa.
Dhyaan Dharen Shruti Shesh Sureshaa. Kaal Roop Lakhi Tumro Bheshaa. ||10||
Kaluaa Bhainron Sang Tumhaare. Ari Hit Roop Bhayanаk Dhaare.
Sevak Laangur Rahat Agaari. Chausath Jogan Aagyaakaari. ||11||
Tretaa Mein Raghavar Hit Aai. Dashkandhar Ki Sain Nasaai.
Khelaa Ran Ka Khel Niraalaa. Bharaa Maans-Majjaa Se Pyaalaa. ||12||
Raudra Roop Lakhi Daanav Bhaage. Kiyo Gavan Bhavan Nij Tyaage.
Tab Aiso Taamas Chad Aayo. Swajan Vijan Ko Bhed Bhulaayo. ||13||
Ye Baalak Lakhi Shankar Aae. Raah Rok Charanan Mein Dhaae.
Tab Mukh Jeebh Nikar Jo Aai. Yahi Roop Prachalit Hai Maai. ||14||
Badhyo Mahishaasur Mad Bhaari. Peedit Kiye Sakal Nar-Naari.
Karun Pukaar Suni Bhaktan Ki. Peer Mitaavan Hit Jan-Jan Ki. ||15||
Tab Pragati Nij Sain Sametaa. Naam Padaa Maan Mahish Vijetaa.
Shumbh Nishumbh Hane Chhan Maahin. Tum Sam Jag Doosar Kou Naahin. ||16||
Maan Mathanhaari Khal Dal Ke. Sadaa Sahaayak Bhakt Vikal Ke.
Deen Viheen Karain Nit Sevaa. Paavain Manvaanchhit Phal Mevaa. ||17||
Sankat Mein Jo Sumiran Karahin. Unke Kasht Maatu Tum Harahin.
Prem Sahit Jo Keerati Gaavain. Bhav Bandhan Son Mukti Paavain. ||18||
Kaali Chalisa Jo Padhahin. Svargalok Binu Bandhan Chadhahin.
Dayaa Drishti Herao Jagadambaa. Kehi Kaaran Maan Kiyo Vilambaa. ||19||
Karahu Maatu Bhaktan Rakhvaali. Jayati Jayati Kaali Kankaali.
Sevak Deen Anaath Anaari. Bhaktibhaav Yuti Sharan Tumhaari. ||20||
Prem Sahit Jo Kare, Kaali Chalisa Paath.
Tinki Pooran Kaamana, Hoy Sakal Jag Thaath.