Hrim Shrim, Klim, Medha, Prabha, Jeevan Jyoti Prachand.
Shaanti, Kraanti, Jagriti, Pragati, Rachna Shakti Akhand.
Jagat Janani, Mangal Karani, Gayatri Sukhdham.
Pranavo Savitri, Swadha, Swaha Pooran Kaam.
Bhoorbhuvah Swah Om Yut Janani. Gayatri Nit Kalimal Dahani.
Akshar Chaubis Param Punitaa. Inmen Basen Shastra, Shruti, Geeta. ||1||
Shaashvat Satoguni Satroopaa. Satya Sanaatan Sudhaa Anoopaa.
Hansaarudh Sitambar Dhaari. Swarnkaanti Shuchi Gagan Bihaari. ||2||
Pustak Pushp Kamandalu Maalaa. Shubhra Varn Tanu Nayan Vishaala.
Dhyaan Dharat Pulkit Hiy Hoi. Sukh Upjat, Dukh Durmati Khoi. ||3||
Kaamdenu Tum Sur Taru Chhaayaa. Niraakaar Ki Adbhut Maayaa.
Tumhari Sharan Gahai Jo Koi. Tarai Sakal Sankat Son Soi. ||4||
Saraswati Lakshmi Tum Kaali. Dipai Tumhaari Jyoti Niraali.
Tumhari Mahimaa Paaran Paaven. Jo Shaarad Shat Mukh Gun Gaaven. ||5||
Chaar Ved Ki Maatu Punitaa. Tum Brahmaani Gauri Seetaa.
Mahaamantra Jitne Jag Maahin. Kou Gayatri Sam Naahin. ||6||
Sumrat Hiy Mein Gyaan Prakaasai. Aalas Paap Avigha Naasai.
Srishti Beej Jag Janani Bhavaani. Kaal Raatri Varadaa Kalyaani. ||7||
Brahma Vishnu Rudra Sur Jete. Tum Son Paaven Surataa Tete.
Tum Bhaktan Ki Bhakt Tumhaare. Jananihin Putra Praan Te Pyaare. ||8||
Mahimaa Aparampaar Tumhaari. Jai Jai Jai Tripadaa Bhay Haari.
Poorit Sakal Gyaan Vigyaanaa. Tum Sam Adhik Na Jag Mein Aanaa. ||9||
Tumhin Jaani Kachhu Rahai Na Sheshaa. Tumhin Paay Kachhu Rahai Na Kleshaa.
Jaanat Tumhin, Tumhin Hai Jaai. Paaras Parsi Kudhaatu Suhaai. ||10||
Tumhari Shakti Dipai Sab Thaai. Maataa Tum Sab Thaur Samaai.
Grah Nakshatra Brahmaand Ghanere. Sab Gatimaan Tumhaare Prere. ||11||
Sakal Srishti Ki Praan Vidhaataa. Paalak Poshak Naashak Traataa.
Maateshwari Dayaa Vrat Dhaari. Tum San Tare Pataki Bhaari. ||12||
Jaapar Kripa Tumhaari Hoi. Taapar Kripa Karen Sab Koi.
Mand Buddhi Te Budhi Bal Paaven. Rogi Rog Rahit Hai Jaaven. ||13||
Daarid Mitai Katai Sab Peeraa. Naashai Dukh Harai Bhav Bheeraa.
Grih Kalesh Chit Chintaa Bhaari. Naasai Gayatri Bhay Haari. ||14||
Santiti Heen Susantati Paaven. Sukh Sampatti Yut Mod Manaaven.
Bhoot Pishaach Sabai Bhay Khaaven. Yam Ke Doot Nikat Nahin Aaven. ||15||
Jo Sadhvaa Sumiren Chit Laai. Achhat Suhaag Sadaa Sukhdaai.
Ghar Var Sukh Prad Lahain Kumaaree. Vidhvaa Rahen Satya Vrat Dhaari. ||16||
Jayati Jayati Jagdamb Bhavaani. Tum Sam Aur Dayaalu Na Daani.
Jo Sadguru Son Deeksha Paaven. So Saadhan Ko Saphal Banaaven. ||17||
Sumiran Karen Suruchi Badbhaagi. Lahain Manorath Grihi Viraagi.
Asht Siddhi Navnidhi Ki Daataa. Sab Samarth Gayatri Maataa. ||18||
Rishi, Muni, Yati, Tapasvi, Jogi. Aarat, Arthi, Chintit, Bhogi.
Jo Jo Sharan Tumhaari Aaven. So So Man Vaanchhit Phal Paaven. ||19||
Bal, Buddhi, Vidyaa, Sheel Swabhaau. Dhan Vaibhav Yash Tej Uchhaau.
Sakal Badhen Upje Sukh Naanaa. Jo Yah Paath Karai Dhari Dhyaanaa. ||20||
Yah Chalisa Bhaktiyut, Paath Kare Jo Koy.
Taapar Kripa Prasannataa, Gayatri Ki Hoy.