Saj Rahe Bhole Baba Nirale Dulhe Mein ।
Nirale Dulhe Mein, Matwale Dulhe Mein ॥
Saj Rahe Bhole Baba Nirale Dulhe Mein ॥
Are Dekho Bhole Baba Ki Ajab Hai Baat,
Chale Hain Sang Le Kar Ke Bhooton Ki Baraat ।
Saj Rahe Bhole Baba Nirale Dulhe Mein ॥
Bhes Nirala, Jai Ho ।
Piye Bhang Ka Pyala, Jai Ho ॥
Sar Jata Chadhaye, Jai Ho ।
Tan Bhasam Lagaye, Jai Ho ॥
Odhi Mrigshala, Jai Ho ।
Gale Naag Ki Mala, Jai Ho ॥
Hai Sheesh Pe Ganga, Jai Ho ।
Mastak Pe Chanda, Jai Ho ॥
Tere Damru Saaje, Jai Ho ।
Trishul Viraaje, Jai Ho ॥
Bhooton Ki Le Kar Toli Chale Hain Sasural,
Shiv Bhole Ji Digambar Ho Bail Pe Sawar ।
Saj Rahe Bhole Baba Nirale Dulhe Mein ॥
Nit Rahein Akele Shankar Albele,
Hain Guru Jagat Ke Nahi Kisi Ke Chele ।
Hai Bhang Ka Jangal Jangal Mein Mangal,
Bhooton Ki Paltan Aa Gayi Hai Ban Than ॥
Le Bhang Ka Kattha,
Le Kar Sil Vatta ।
Sab Ghis Rahe Hain,
Ho Hakka Bakka ॥
Pee Kar Ke Pyale,
Ho Gaye Matwale ।
Koi Nache Gaave,
Koi Dhol Bajaave ॥
Koi Bhaun Bataave,
Koi Munh Pichkaave ॥
Bhole Bhandari Pahunche Sasurari,
Sab Dekh Ke Bhaage,
Sab Nar Aur Naari ॥
Koi Bhaage Agaadi,
Koi Bhaage Pichhadi ।
Khul Gayi Kisi Ki,
Dhoti Aur Saadi ॥
Koi Koode Khambam,
Koi Bole Bam Bam ।
Koi Kad Ka Chhota,
Koi Ekdam Mota ॥
Koi Tan Ka Lamba,
Koi Taad Ka Khamba ।
Koi Hai Ik Tanga,
Koi Bilkul Nanga ॥
Koi Ekdam Kaala,
Koi Do Sar Wala ॥
'Sharma' Gun Gaaye,
Man Mein Harshaye ।
Trilok Ke Swami,
Kya Roop Banaye ॥
Bhole Ke Saathi,
Hain Ajab Baraati ॥
Bhooton Ki Le Kar Toli Chale Hain Sasural,
Shiv Bhole Ji Digambar Ho Bail Pe Sawar ।
Saj Rahe Bhole Baba Nirale Dulhe Mein ॥