Sab Mangalmay Kar Dete Hain,
Dakshinmukh Ke Hanuman Prabhu ।
Har Bigde Kaam Banate Hain,
Dakshinmukh Ke Hanuman Prabhu ॥
Jo Kaam Koi Na Kar Sakta,
Aise Hi Kitne Kaam Kiye ।
Aise Hi Kitne Kaam Kiye,
Sau Yojan Ki Lambi Doori Ko ॥
Ek Chhalaang Mein Paar Kiye,
Ek Chhalaang Mein Paar Kiye ।
Mushkil Ko Saral Banate Hain,
Dakshinmukh Ke Hanuman Prabhu ॥
Mushkil Ko Saral Banate Hain,
Dakshinmukh Ke Hanuman Prabhu ।
Sab Mangalmay Kar Dete Hain,
Dakshinmukh Ke Hanuman Prabhu ॥
Dakshin Mein Jaakar Ke Bajrang,
Shri Ram Ka Poora Kaam Kiya ।
Shri Ram Ka Poora Kaam Kiya,
Maa Sita Ne Phir Isiliye ॥
Hanumat Ko Tha Vardaan Diya,
Hanumat Ko Tha Vardaan Diya ।
Siyaram Ke Man Ko Bhaate Hain,
Dakshinmukh Ke Hanuman Prabhu ॥
Siyaram Ke Man Ko Bhaate Hain,
Dakshinmukh Ke Hanuman Prabhu ।
Sab Mangalmay Kar Dete Hain,
Dakshinmukh Ke Hanuman Prabhu ॥
Har Disha Ki Mahima Alag Alag,
Har Disha Ki Mahima Hai Nyari ।
Har Disha Ki Mahima Hai Nyari,
Par Dakshinmukh Ke Bajrang Pe ॥
Ho Jaaye Niranjan Balihari,
Ho Jaaye Niranjan Balihari ।
Shanidev Se Mukt Karte Hain,
Dakshinmukh Ke Hanuman Prabhu ॥
Shanidev Se Mukt Karte Hain,
Dakshinmukh Ke Hanuman Prabhu ।
Sab Mangalmay Kar Dete Hain,
Dakshinmukh Ke Hanuman Prabhu ॥