Bhanwar Mein Naav Padi Hai Beech Majhdhar Hoon Main ।
Sahara Dijiye Aakar Ki Ab Laachar Hoon Main ॥
Bhole Girija Pati Hoon Tumhari Sharan ।
Bhole Girija Pati Hoon Tumhari Sharan ।
He Kailash Pati Hoon Tumhari Sharan ॥
Suna Hai Aapka Jisne Kabhi Pukar Kiya,
To Uska Aapne Sankat Se Hai Uddhar Kiya ।
Bhagat Hoon Aapka Main Bhi To Ae Mere Bhole,
Aasra Aapka Humne Bhi Ae Sarkar Kiya ॥
Hoon Tumhari Sharan, Sharan Tumhari Sharan ॥
Sada Darbar Mein Ek Bheed Bhakton Ki Lagi Dekhi,
Har Ek Bhagat Ki Jholi Aapke Dar Pe Bhole Bhari Dekhi ।
Koi Lauta Nahi Khaali Tumhare Dwar Pe Aake,
Niputi Baanjh Ki Humne Yahin Godi Hari Dekhi ॥
Yahi Hai Prarthana Tumse Meri Bhole Shankar,
Daya Ki Drishti Zara Daal Do Bhole Mujh Par ।
Tumhare Dwar Pe Jhuka Diya Hai Sar Ye Keh Keh Kar,
Hoon Tumhari Sharan, Sharan Tumhari Sharan ॥
Main To Nadaan Hoon Duniya Se Bhi Anjaana Hoon,
Par Ye Sach Hai Ki Bhole Main Tera Deewana Hoon ।
Thokarein Duniya Ki Mere Bhole Main Bahut Khaya Hoon,
Hoke Laachar Main Tere Dar Pe Aaya Hoon ॥
Hoon Tumhari Sharan, Sharan Tumhari Sharan ॥
Meri Jholi Charan Ke Dhool Se Ek Baar Bhar Dije,
Mehar Ki Ek Nazar Sarkar Lakkha Pe Kar Dije ।
Saran Dete Ho Sabko Meri Khatir Kyon Hui Deri,
Tumhare Haath Mein Hai Prabhu Ab Laaj Meri ॥
Hoon Tumhari Sharan, Sharan Tumhari Sharan ॥
Tum Jo Chahoge To Taqdeer Palat Jayegi,
Dukh Sankat Sabhi Ek Pal Mein Hi Hat Jayegi ।
Mujhko Vishwas Hai Aur Dil Mein Yakeen Hai Mujhko,
Chhodkar Aapki Chaukhat Ko Agar Jaunga ॥
Apne Charnon Mein Pada Rehne Do Mujhko Bhole,
Gar Charan Chhoote To Bemaut Hi Mar Jaunga ।
Hoon Tumhari Sharan, Sharan Tumhari Sharan ॥
Tumhare Naam Ke Pyale Ko Pee Raha Hoon Main,
Kripa Se Aapki Duniya Mein Jee Raha Hoon Main ।
Daya Kar Mere Bhole Ye Sharma Ki Duhai Hai,
Meri Bigdi Bana De Tumne Laakhon Ki Banai Hai ॥
Hoon Tumhari Sharan, Sharan Tumhari Sharan ॥
Bhole Girija Pati Hoon Tumhari Sharan ।
Bhole Girija Pati Hoon Tumhari Sharan ।
He Kailash Pati Hoon Tumhari Sharan ॥
Hoon Tumhari Sharan, Sharan Tumhari Sharan ॥